Saturday, February 22, 2014

KAL AAJ AUR KAL..

Hai aaj din suhane bade,
Kal ki baat kaun yaad kare,
Kal ki baat kuan fariyaad kare.
Log to khus hai apne aaj me,
Kal kya tha sochke kaun aaj ko barbad kare.

Logon ko jhumte dekh aaj kal se bola,
Dekh bagiyan me kese phool khile hai,
Dekh aaj chaman me kese rang mile hai,
Tu kyun hai iss zindagi me,
Jab log tujhe bhool kar aaj me phire hai.

Kal muskurake bola aaj se,
Phool to aaj khile hai kal murjha jayegenge,
Suraj me aaj chamak hai kal ast ho jayegenge,
Ye to pal bhar ki khusiyan hai,
Jo sab kuchh aaj hai wo kal me badal jayenge.

Phir yahi me bolunga... hai aaj,
Kal ke din kitne suhane the,
Zindagi me kitne fasane the,
Kyun aya hai ye aaj mere paas,
Kal thi to zindagi kitne haseen the.

Jab sab kuchh tha kal me,
phir kyun aya hai ye aaj,
Zindagi ka yahin niyam hai,
Kal kal tha to aaj aaj.