Friday, December 21, 2012

AB KUCHH PAL KI ZINDAGI HAI..

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir patton se boond gir jayegi,
phoolon se khusboo bhi na ayegi,
jeene de iss pal ko zara,
phir khudko zindagi chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir muskaan saath chhod jayegi,
dhadkan dil se ruth jayegi,
hasle ye pal ko jee bharke,
kuchh pal me khudko khusi chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir suraj zindagi ki dhal jayegi,
door tak tanhayi hi nazar ayegi!
raat ki kaali chadar tale,
sanse saath chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
ab kuchh pal ke bahar,
kho jaane de mujhe iss jahan me,
doob jane de mujhe iss sama me,
ye zindagi phir kabhi na ayegi.

Monday, December 17, 2012

ZINDAGI..

Kabhi rulati hai to kabhi hasati hai zindagi,
na jaane kaise kaise rang dikhati hey zindagi!
zindagi ke rah hai tedhe medhe,
na jane kaise kaise rah dikhati hai zindagi.

Kabhi dhoop hai to kabhi chhaon hai zindagi,
har pal ek naya chaw hai zindagi!
zindagi har pal kuchh naya hai,
na jaane kaise kaise pal dikhati hai zindagi.

Kabhi takrar to kabhi pyar hai zindagi,
sabke dil ki dulaar hai zindagi!
zindagi har pal ek mithi yaad hai,
na jane kitne yaade dikhake muskurati hai zindagi.

Kabhi barsaat to kabhi kasti hey zindagi,
sabse badi dosti hai zindagi!
kabhi milna kabhi bichhadna kabhi chhup chhup ke rona,
har muskil waqt me haat milati hai hey zindagi.