Monday, July 2, 2012

KAUN JAANE KAL KO KYA HOGA.

Kaun jaane kal ko kya hoga..
Aaj mere sath yaar bhi hey sabka pyar bhi,
aaj sabhi baaton me han bhi hey aur inkaar bhi,
aaj khulke jee lene de aaj khulke haslene de,
kaun jaane kal kaun saath hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Aaj pyala bhi hey aur jaam bhi,
aaj wo pal bhi hey aur wo sham bhi,
aaj mujhe pee lene de dil kholke jee lene de,
kaun jaane kal ye pyala kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Aaj sama suhana hey aur dilnasheen bhi,
raat rangeen hey aur din haseen bhi,
doob jaane de mujhe iss sama me,
kho jaane de mujhe iss jahan me,
kaun jaane kal ye sama kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Zindagi ek kagaz ki kashti hey,
bas pal do pal ki hi masti hey,
behne do mujhe uss kashti ki tarah,
takrane do kagaar me lehro ki tarah,
kaun jaane ye kashti kal kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.