Friday, December 21, 2012

AB KUCHH PAL KI ZINDAGI HAI..

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir patton se boond gir jayegi,
phoolon se khusboo bhi na ayegi,
jeene de iss pal ko zara,
phir khudko zindagi chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir muskaan saath chhod jayegi,
dhadkan dil se ruth jayegi,
hasle ye pal ko jee bharke,
kuchh pal me khudko khusi chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
phir suraj zindagi ki dhal jayegi,
door tak tanhayi hi nazar ayegi!
raat ki kaali chadar tale,
sanse saath chhod jayegi.

Ab kuchh pal ki zindagi hai,
ab kuchh pal ke bahar,
kho jaane de mujhe iss jahan me,
doob jane de mujhe iss sama me,
ye zindagi phir kabhi na ayegi.

Monday, December 17, 2012

ZINDAGI..

Kabhi rulati hai to kabhi hasati hai zindagi,
na jaane kaise kaise rang dikhati hey zindagi!
zindagi ke rah hai tedhe medhe,
na jane kaise kaise rah dikhati hai zindagi.

Kabhi dhoop hai to kabhi chhaon hai zindagi,
har pal ek naya chaw hai zindagi!
zindagi har pal kuchh naya hai,
na jaane kaise kaise pal dikhati hai zindagi.

Kabhi takrar to kabhi pyar hai zindagi,
sabke dil ki dulaar hai zindagi!
zindagi har pal ek mithi yaad hai,
na jane kitne yaade dikhake muskurati hai zindagi.

Kabhi barsaat to kabhi kasti hey zindagi,
sabse badi dosti hai zindagi!
kabhi milna kabhi bichhadna kabhi chhup chhup ke rona,
har muskil waqt me haat milati hai hey zindagi.

Saturday, October 20, 2012

DIL ME EK KHAYAL AYA..

Aaj dil me ek khayal aya,
kisise dil lagane ka vichar aya.
ye kambakht dil bhi kya sochta hey,
na jane samne ye kaisa sawal aya.

Dekha duniya ko ki pyar kaisi hoti hey,
to paya pyar ke gum me dil kaise roti hey,
hazaro dil pal bhar me kaise bhikarti hey,
Chakwi bin chakwa ke kaise soti hey.

Aisa nahi ki pyar me sirf gum hoti hey,
pyar me sirf ankhe num hoti hey.
pyar me bhi bahut si hey achhai,
mitati dooriyan do dilon ki ye,
sikhati hey sabko pyar ki sachai.


Pyar ki apni hi ek jahan hey,
kiya pyar jisne wahi jana hey.
hum to bhatke pyar ki talash mai,
kaun jane wahan khusi ya durd ka sama hey.


Phir bhi ye dil chahe dil lagana,
najane kyon ye chahta pyar me hi mit jana,
dil ki bhasa samajhna hey muskil,
shayad pyar ko pana hi hey uski manzil.

Tuesday, October 16, 2012

DASTAN -E- BARSAAT.

Hey baarish tu kab apni khusi barsayegi,
kab ye dharti ki pyas bujhayegi.
tadap rahen hey teri yaad me sab,
kab inki zindagi me rang chhalkayegi.

Anaaj phir taras gaye teri aash me,
phool phir murjha gaye teri yaad me.
aaj nahi matki chalak rahi hey,
aaj nahi machhli machal rahi hey,
sabhi sukhe pade hey teri talaash me.

Ek baar sabki pyas bujha de,
ek baar sabko pyar se gale laga de.
machaade kichad charo taraf,
sabki dukhon ko pal bhar me bhula de.

Tera mera rishta behisaab hey,
tujhse milne ko ye dil betaab hey.
aaj ek baar barash ja ye suni dharti pe,
tujhse meri ye ek fariyaad hey.

Monday, July 2, 2012

KAUN JAANE KAL KO KYA HOGA.

Kaun jaane kal ko kya hoga..
Aaj mere sath yaar bhi hey sabka pyar bhi,
aaj sabhi baaton me han bhi hey aur inkaar bhi,
aaj khulke jee lene de aaj khulke haslene de,
kaun jaane kal kaun saath hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Aaj pyala bhi hey aur jaam bhi,
aaj wo pal bhi hey aur wo sham bhi,
aaj mujhe pee lene de dil kholke jee lene de,
kaun jaane kal ye pyala kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Aaj sama suhana hey aur dilnasheen bhi,
raat rangeen hey aur din haseen bhi,
doob jaane de mujhe iss sama me,
kho jaane de mujhe iss jahan me,
kaun jaane kal ye sama kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Zindagi ek kagaz ki kashti hey,
bas pal do pal ki hi masti hey,
behne do mujhe uss kashti ki tarah,
takrane do kagaar me lehro ki tarah,
kaun jaane ye kashti kal kahan hoga,
kaun jaane kal ko kya hoga.

Monday, April 23, 2012

AGAR TU MERE SAPNO KI RANI HOTI....

Agar tu mere sapno ki rani hoti,
to kya khoobsurat kahani hoti.
sada rehta saath tere mey,
kya khoobsurat zindgani hoti.


agar tu mere sapno ki rani hoti,
to mere dil ki tujhpe kurbani hoti.
dil se karta pyar tujhse ,
aur tu mere pyar ki diwani hoti.


agar tu mere sapno ki rani hoti,
to meri ye tere liye zubani hoti.
me banta raja kahinka,
aur tu meri maharani hoti.


agar tu mere sapno ki rani hoti,
to kya khuskismat jawani hoti.
din kitne haseen hote,
aur rati kitni suhani hoti.

Agar tu mere sapno ki rani hoti.

Sunday, April 15, 2012

YE KESI MERI ZINDAGI HEY...

Wah! wo kesi meri zindagi thi.
har pal rehte doston ke sath,
hoti thi kitni sari baat,
kabhi jaruri to kabhi sirf bakwas.

zindagi ki wahi meri bandagi thi,
salon ke galiyon me bhi zindagi thi,
kabhi ruthte the kabhi manate the,
zindagi bhi hume dekhke khilkhilati thi.

ab ye kesi meri zandagi hey,
jese hum koi kanto ke raho me hey.
dil se jite the hum tab,
ab jese zindagi aansuon me hey.

ab ye kesi meri zindagi hey,
apni na koi wazood na koi pahchan hey.
na koi dost hasne ko na hasaane ko hey,
jahan dekho har taraf sirf anjaan hey.

ab samajh gaye hum samay se,
ab yahi hamari zindagi hey,
ab yahi hamari bandagi hey,
na iss zindagi me zindagi hey,
na iss zandagi me bandagi hey.

Wednesday, February 8, 2012

KHOOBSURAT ZINDAGI.....

Ye aa gaya me kaisi raahon me,
zindagi ki wo sunhari chhaon me,
zindagi itni khoobsurat ho gayi,
jese lipte ho apne yaar ke bahon me.

na jane ye dhalta suraj mujhse kya kaha gaya,
na jane kyun chalta sama yun reh gaya,
aaj kyon raat itni khoobsurat hey kyon hey itni deewangi,
dil me na jane ye kaise chingari sa beh gaya.


aaj phir wahi dhalta suraj hey,
phir wahi sama hey phir wahi candni,
par aaj wo nai jiski mujhe talash thi,
aaj wo nahi jiski mujhe pyas thi.

hey chand tujhe kasam hey teri chandni ki
milade mujhe tu mere pyar se,
warna tu bhi na bikher payega
apni chamkti roshni iss sansar pe.