Sunday, December 18, 2011

DIL

Wo hawaon me kuchh baat thi,
wo fizaon me kuchh baat thi,
chale jaa raha tha mey akela tanha
na jane kiske bare me sochke,
kuchh unkahi si halat thi.

Ye dhadkan ka kya ishaara hey,
aaj dil ne ye kise pukara hey,
mey to chale jaa raha tha tanha safar me
par na jane ye dil maange kiska sahara hey.

Aaj dhadkan bhi saath hey,
aaj mera dil man bhi kyon saant hey,
mey to hun bekhabar iss duniya se
lekin dil me chal rahi ye kesi baat hey.

Wo kaun hey jo mere dil ko dhadka rahi hey,
wo kaun hey jo mere dil me sama rahi hey,
hey dil tu hi bata ye kya hey
kuan hey wo jo mere dil ke paas aa rahi hey.

Monday, December 12, 2011

DURD - E- JUDAAI

Zindagi me mera ek hi tara tha,
jise mene apna tan man de dala tha,
jese sarir do aur atma ek hi hamara tha,
kitne hasin pal hamne saath gujara tha.

Achanak wo toot gayi,
na jane mujhse kyon rooth gayi,
sochta tha hey mere saath koyi
par iss duniya me wo tanaha chhod gayi.

Ab to raha raha ke uski yaad sataye,
kisise kuchh suna ya kaha na jaye,
soch soch ke uski baat ankh bar aaye,
bhulne se bhi wo bhula na jaye.

Ye taqdeer mujhe kis mod pe le aayi,
kesi muskil hey ye judaai,
dekh ke ye muskil ankh bhar aayi,
sah ne payenge ye teri judaai.